Friday, 27 September 2013

Love in Tokyo ( Lyrics ) Movie : Love In Tokyo

Jaapaan Love In Tokyo -2 
Le Gayi Dil Gudiya Jaapaan Ki -2 
Paagal Mujhe Kar Diya -2 
Jaapaan Love In Tokyo ... 

Ye To Shahar Mastaana Jiska Andaaz Maashooqaana 
Deta Hai Pyaar Ka Paimaana Karta Hai Sabko Deewana -2 
Le Gayi Dil ... 

Dekho Vo Gori-Gori Raahen Hamko Ishaare Se Bulaayen 
Kitni Rangeen Hain Fizaayen Jaapaani Pariyaan Muskaraayen -2 
Le Gayi Dil ... 

Naache Har Mod Par Jawaani Kehti Hai Pyaar Ki Kahaani 
Aayi Vo Kaibare Ki Raani Jiski Ada Mein Zindagaani -2 
Le Gayi Dil ...

No comments:

Post a Comment