Friday, 27 September 2013

O Mere Shah-E-Khuban Rafi ( Lyrics ) Movie : Love In Tokyo

O Mere Shaah-E-Khoobaan, O Meri Jaan-E-Janaana 
Tum Mere Paas Hote Ho, Koi Doosra Nahi Hota 

Kab Khayaalon Ki Dhoop Dhalti Hai 
Har Kadam Pe Shama Si Jalti Hai 
Mera Saaya Jidhar Bhi Jaata Hai 
Teri Tasveer Saath Chalti Hai 
O Mere Shaah-E-Khoobaan ...

Tum Ho Sahara Mein Tum Gulistaan Mein 
Tum Ho Zarron Mein Tum Bayaanbaan Mein 
Main Ne Tum Ko Kahaan Kahaan Dekha 
Choop Ke Rahate Ho Tum Rag-E-Jaan Mein 
O Mere Shaah-E-Khoobaan ...

Meri Aankhon Ki Justaju Tum Ho 
Iltaja Tum Ho Aarzu Tum Ho 
Main Kisi Aur Ko To Kya Jaanu 
Meri Ulfat Ki Aabaru Tum Ho 
O Mere Shaah-E-Khoobaanthreedots

No comments:

Post a Comment